Du Love Me


Jahan yaad na aaye teri,
Woh tanhaai kis kaam ki.
Bigde rishte na bane,
To khudaai kis kaam ki.
Beshak apni manzil tak jana hai hamein,
Lekin jahaan se apne na dikhein,
Woh oonchaai kis kaam ki!

Ek pahchan hajaro Dost bana deti hain,
Ek muskaan hajaro gum bhula deti hain
Zindagi ke safar me sambhal kar chalna
Ek galti hajaro sapne jala kr raakh deti hai

Yeh bhi ek dua hai khuda se,
Kisi ka dil na dukhe hamari wajah se,
Aye khuda kar de kuchh aisi inaayat hum pe,
Ki khushiyaan hi milein sabko hamaari wajah se.

Utha hua har hath dua ke liye nahi hota,
Jhuka hua har parda hawa ke liye nahi hota,
Apni galtiyon se bhi chirag bhuj jate hai aksar,
Kasoor hawa ka har baar nahi hota…

Ab ho gaya hai aadmi ,
Bikta hai jahaan pyaar bhi saamaan ki tarah,
Pehchaan bhi hai mushkil mukhauton ke daur mein
Dikhta hai bhediya bhi insaan ki tarah!!

Zindagi ki uljhanon ne hamaari sharaaratein kam di,
Aur log samajhne lage ki hum samajhdaar ho gaye.

Ye arzoo nahi ki kisi ko bhulayein hum.
Na tammana hai kisi ko rulayein hum.
Par dua hai us rab se ek hi,
Jisko jitana yaad karte hain usko utana yaad aayein hum.

Khwahish aisi karo ki aasman tak ja sako,
Dua aisi karo ki khuda ko pa sako,
Yun to jeene ke liye pal bahut kam hain,
Jiyo aise ki har pal mein zindagi pa sako..!

Zindagi haseen hai zindagi se pyar karo,
Ho raat to subah ka intzar karo,
Wo pal bhi aayega jis pal ka intzar hai apko,
Bas rab pe bharosa aur waqt pe aitbar karo.

Mushkilon mein bhag jana asaan hota hai,
Har pehlu zindagi ka imtihan hota hai,
Darne walon ko kuchh milta nahi zindagi mein,
Aur ladne walon ke kadmon mein jahan hota hai.

Ek shabd hai mohabbat-
ise kar ke dekho tum tadap na jao toh kehna….
ek shabd ihai mukaddar-
isse ladkar dekho tum haar na jao toh kehna….
ek shabd hai wafa-
zamane me nahi milti,kahin dhoond pao toh kehna….
ek shabd hai aansu-
dil me chhupa ka rakho,tumhari aankh se na nikle toh kehna….
ek shabd hai judai-
ise seh kar toh dekho, tum toot kar bikhar na jao toh kehna….
ek shabd hai bhagwan-
use pukar kar toh dekho,sab kuchh na pa lo toh kehna….
 
♥♥ Kaise Kahun Ke Apna Bana Lo Mujhe,
Baahon Mein Apni Sama Lo Mujhe,
Bin Tumhare Ek Pal Bhi Kat-ta Nahi,
Tum Aa Kar Mujhi Se Chura Lo Mujhe,
Zindagi To Wo Hai Sang Tumhare Jo Guzri,
Duniya Ke Gamon Se Ab Chura Lo Mujhe,
Meri Sabse Gehri Khwahish Ho Puri,
Tum Agar Paas Apne Bula Lo Mujhe,
Ye Kaisa Nasha Hai Jo Behka Raha Hai,
Tumhara Hoon Main To Sambhalo Mujhe,
 Na Jaane Phir Kaise Guzregi Zindagani,
Agar Apne Dilse Kabhi Tum Nikalo Mujhe♥♥
 
Nazare Mile To Pyar Ho Jata Hai,
Palke Uthe To Izhaar Ho Jata Hai,
Na Jane Kya Kasish Hai Chahat Main,
Ke Koi Anjaan Bhi Hamari
Zindagi Ka Haqdaar Ho Jata Hai
 
Tujhse Ru-B-Ru Hokar Baate Karu, Nigahe Milakar Wafa Ke Wade Karu, Thaam Kar Tera Hath Baithu Tere Samane, Teri Haseen Surat Ke Najare Karu, Sharma Kar Najro Se Tera Kuch Chupke Kah Jana, Teri Nigaho Ke Wo Ishare Samjhu, Teri Har Ek Ada Par Kar Du Kayi Shayari, Har Lafz Me Wafa Ke Dawe Karu, Sambhale Nahi Sambhalti ‘Jaana’ Ye Dil Ki Tadap, Tu Hi Bata Main Kab Tak Yu Aahein Bharu… , Nigahe Milakar Wafa Ke Wade Karu, Thaam Kar Tera Hath Baithu Tere Samane, Teri Haseen Surat Ke Najare Karu, Sharma Kar Najro Se Tera Kuch Chupke Kah Jana, Teri Nigaho Ke Wo Ishare Samjhu, Teri Har Ek Ada Par Kar Du Kayi Shayari, Har Lafz Me Wafa Ke Dawe Karu, Sambhale Nahi Sambhalti ‘Jaana’ Ye Dil Ki Tadap, Tu Hi Bata Main Kab Tak Yu Aahein Bharu…
 
Tere liye khudko majboor kar liya,
Zakhmo ko apne nasoor kar liya,
Mere dil mein kya tha ye jaane bina,
Tune khudko humse kitna door kar liya.

Mat karo tum vo wada jise tum nibha na sako,
Mat chaho tum use jise tum pa na sako,
Pyar har kisi ka kaha pura hota hai,
Pyar ka pehla akshar hi adhura hota hai.
 
Tumko Mohabbat Ki Sachchai Maar Dalegi,
Unko To Mohabbat Ki Gehraai Maar Dalegi,
Kar Ke Mohabbat Koi Nahi Bachega Yaron,
Unki Judaai Main Hame Sharab Maar Dalegi.  

Raat Gumsum Hai Magar Chan Khamosh Nahi,
Kaise Keh Du Aaj Fir Hosh Nahi,
Aisa Duba Teri Aakho Ki Gehrai Main,
Haath Mein Jam Hai Magar Pine Ka Hosh Nahi. 
 
 Kitaabon mein kehte hai phool todna mana hai,
Baagon mein kehte hai phool todna mana hai,
Phoolon se keemti cheez hai dil,
Koi nahi kehta dil todna mana hai.
 
Jahan yaad na aaye teri,
Woh tanhaai kis kaam ki.
Bigde rishte na bane,
To khudaai kis kaam ki.
Beshak apni manzil tak jana hai hamein,
Lekin jahaan se apne na dikhein,
Woh oonchaai kis kaam ki!
 
 Aaj unhe fursat nahi humse baat karne ki,
Ye zindagi gujar gayi unki fariyaad kar k,
Wo aaye humari mout pe,to keh dena,
Abhi soye hai aapko yaad kar k.

आज उन्हे फुर्सत नही हमसे बात करने की,
ये जिन्दगी गुजर गई उनकी फरियाद करके,
वो आए हमारी मौत पे,
तो कह देना अभी सोया है आपको याद करके.


0 comments:

Post a Comment